Mein kuch likhna chahta hoon !
Kuch soch ke ruk jata hoon !!
Ye kaisi soch hai jo aam nahi !
Ya koi dar hai jiska koi naam nahi !!
Mushkil hai iss darr se dur jana !
Mushkil hai iss darr pe kabu pana !!
Ye darr din-ba-din badta jata hai !
Kuch likhne ka ehsaas ab mujhe darata hai !!
Darr lagta hai mujhe ki ab likh na paoonga !!!
Mein kuch likhna chahta hoon !
Kuch soch ke ruk jata hoon !!