Wo subah ki tez kirnein !
Wo sham ki thandi chaanv !!
Wo raat ki madhosh chandni !
Tere paas hone ka eshsaas karaati hain !!
Wo mujhe chuke nikal jaane waali hawayein !
Wo mujhe bhigo dene waali baarish ki boondein !!
Wo mere dil ko dhadkane waali saansein !
Tere paas hone ka eshsaas karaati hain !!
Jaanta hoon tu kahin door hai !
Nazar na aayegi mujhe !!
Par in dil ki gehraiyon mein basi, teri yaadein !
Tere paas hone ka eshsaas karaati hain !!
Ye suhana sama !
Ye zindagi se tez daudta waqt !!
Ye palak zhapakte hi guzar jaane waali ghadiyan !
Tere paas hone ka eshsaas karaati hain !!